Lakshay(goal) ko set kaise kare.

Goal setting
Image Source

Lakhshay (Goal) kaise banaye--

 Dosto ek vichar lo, or us vichar ko apni zindagi bana do. Usi ke baare me socho, usi ke sapne dekho. us vichar ko jiyo. Or apne dimaag, maanspeshiyo (muscles), snaayvik (nervous) yaha tak ki apne puri body ko us vichar se bhar lo, baki ki saari yojnaye ek kinare kar do. Safal (success) hone ka yahi tareeka hai.--- Vivekanand ji
Dosto aaj hum iss post me baat karege ki apna lakshay kaise nirdharit kare. Aksar dekha jaata hai ki hum bina kisi goal (lakshay) ke apni life me aage badh rahe hote hai or iska nateeza ye hota hai ki saalo baad bhi hum apne aap ko wahi paate hai jaha se humne shuru kiya tha. Aisa kyo?
Aisa isliye kyoki hamare paas koi goal nahi hota hai. Or Goal kyo nahi hota kyoki hum darte hai.
Hum darte isliye hai kyoki hamare paas vishwaas (faith) nahi hai, hame jaankari (knowledge) nahi hai, hamari ruchi (interest) nahi hai.
 

Lakshay (Goal) kya hai --

 Jaisa ki hamne aapko POWER OF MIND ke session me bataya tha ki safal hone ke liye hame Hard work ki nahi Smart work ki jarurat hai. Smart work matlab ki sahi disha me kaam karna. To Hamara jo goal hota hai wo hamari life ko disha deta hai. Hamare lakshay(goal) hamari life me idhan (fuel) ka kaam karta hai.
 

Hum apna lakshay(goal) set kyo nahi karte --

 * kyoki hamara najariya nirashawadi hai.
* Fail hone ka dar.
*Mehtwakanksha (ambition) ki kami.
*Nikale jaane (rejection) ka dar.
*Tal-matol
*Goals ki importance na samajhna.
* or Gyan ki kami.
Dosto ye kuch reason hote hai jiske kaaran hum apne goal set nahi karte hai.
 

Ab apne aap se Ye 4 question puchiye.

 1. Me apni jindagi me kya chahta hu?

2. Me apni jindagi me kya karna chahta hu?

3. Me apni jindagi me kya ban na chahta hu?

4. Me jeena kyo chahta hu?

 

goal setting- smart
Image Source

Aapka Goal smart hona chahiye --

 S - Specific (sunischit) - Apne goal ki choti-choti cheez ko soche.
M - Measurable -- jaise- aapki salary hogi 7 lac.
A - Achievable - jise aap haasil kar le aisa nahi ki me bill gates se bhi jyada paise wala ban na    chahta hu.
R - Realistic - vaastavik hona chahiye ye nahi ki me Taj mahal banauga.
T- Time bound - apne goal ka time set karo jaise me 2019 tak doctor banuga.
 

Note- Agar aap planning karne me fail ho gaye to iska matlab aapne fail hone ka plan banaya hai.

 To dosto apne goal ki sahi se planning kare or usi ke according kaam (action) kare. Iska nateeja ye hoga ki apne fix time par aapko safalta mil jaayegi.Or haa Aaj hi apna Goal chart banaiye. Goal ka chart banane ke liye aap apne goal ke sath comment kare hum aapki puri help karege.

Comments

  1. Me abhi 11th class me hu or muje doctor banna h.

    ReplyDelete
  2. Dost ye aapka long term goal hai. Pehle aap short term goal set kare jaise ki mujhe 12th me 90-95% lani hai to wo aapka goal ho gaya u par kaam karo baki ki cheezo ko kuch dino ke liye bhul jaaiye.

    ReplyDelete
  3. Me BCA from SMU se 2013 me kar liya hu avi Digital marketing me kam kar rha as a SEO excutive.......par me koi lakshya bna nahi pa rha ki karna kya hai plz help me,

    ReplyDelete
    Replies
    1. Subodh ji aap apni life me kya chahte ho? Agar aap mujhe ye bata sake to me aapki planning karwa sakta hu.

      Delete
  4. Sir,mere two dreams hai. Pahla karorepathi banna and dusra jisse me pyar karta hu usse saadhi Karna so two dreams ka goal kaise set karu. Please tell me

    ReplyDelete
    Replies
    1. aagar aapko ye dono chahiye to aapko koi super star ki tarah banana hoga jaise ki salaman khan, aamir khan....iske liye aapke ander koi talent hona chahiye, wo kaisa bhi ho skta hai .ex:- abhi abhi dhinchak pooja aai thi...waise koi badhiya talent hona chahhiye. agar aapka talent logo ko pasand aaya to aap famous + income + fans bhi aayenge....so aapka pyar bhi aapko mil jayega.

      Delete
  5. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  6. need help meny IT complete kiya hai pr abhi tk confuse hn agy kiya kro

    ReplyDelete
  7. I want become a honest IAS officer

    ReplyDelete
  8. I want become a honest IAS officer

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Self-hypnosis kaise kare

Time-Management Part-1