Self Confidence kaise badaye

Self Confidence kaise badaye:-
Self confidence kaise badayeDosto hum koi bhi kaam karne jaate hai to hamare mann me dar rehta hai ki pata nahi ye hoga bhi ya nahi, kya me isko kar paunga?
To dosto yaha me kuch choti-choti baate bataunga aapko jis se aap apna confidence bada sake.
BMWSS- Ye word aapki help karega confidence level grow karne
                 me.

B- Be a front seater always-(Hamesa apni coaching, class ya kisi bhi anya jagah hamesa aage rahe, aage baithe.)
M- Make an eye contact- (Hamesa samne waale se baat karte samay eye contact banaye rakhe. Aksar hum baat karte samay idhar-udhar dekhte hai ye low confidence ki nishaani hai).
W- Walk 25% faster. (Aap jis speed se chalte hai us se 25% jyaada tez chalne ki aadat daliye.).
S- Smile big- (Or hamesa mushkaraiye. Me to kahuga ki aap pure din apne chehre par smile rakhiye phir dekhiye logo ka attraction. Aap se har koi baat karna chahega, aap sabke favorite hoge).
S- Speak Up-(Bolene ki bhi aadat daliye, aakhir aap ko bhi haq hai apni baat rakhne ka).

Dosto mene yaha S- Speak up word likha hai aaiye iske baare me bhi thoda jaante hai.
                                                            How to talk
Hum jab bhi bole to P,P,P,P ko dhyan me rekhkar bole. Aaiye jaante hai p,p,p,p ke baare me-
P- Power ( Jab bhi aap bole to power ke sath, aisa na ho ki aap bole jaa rehe hai or dusre logo ko sun ne me mehnat karni pad rahi hai)
P- Pitch (Jab bhi aap kisi se baat kare to apne sentence ke utaar-chadaav ke sath bole)
P- Pace (Hamesa apne baat ko ek speed ke saath bole. wo speed kabhi kam to kabhi jyada bhi ho sakti hai)
P- Pause (Aapke sentence me pause ka bhi istemaal kare aisa na ho ki aap continuously bole hi jaa rahe hai)

To Dosto aaj hamne jaana confidence ke baare me or speaking skill ke baare me. Iss post ko padne ke baad aapke mann me questions bhi aa rahe honge to comment kar ke puchiye naa.
Or Dosto phir wahi baat ki Paani pijiye or apne aas-paas ke area ko neat and clean rakhiye.

Safalta prapt karne ke liye yaha click kare 

Kya aap jaante hai ki aap kaise seekhte hai. Isko click kare
                                                                      Thank You         

Comments

Popular posts from this blog

Self-hypnosis kaise kare

Lakshay(goal) ko set kaise kare.

Time Management -- Part 2