Safalta kaise paaye

safalta kaise paayeDosto aaj har koi apni life me success hona chahta hai. Lekin kya bade Bank balance or luxurious life hee success hai. maan lo apke paas bahut saare paise hai or aap beemar pad gaye to us rupay ka maza aap le payenge?   Nahi!!!  Bahut saare logo ko apne dekha hoga apni adhi zindagi paiso ke peeche bhagte hue or bachi hui adhi zingagi apne sareer ko fit rakhne ke liye. Kya yahi success hai????


Nahi!!! Ab socho ki apki life me koi tension nahi hai, aapka sareer bhi fit hai or dimaag bhi. To dosto ise hum success keh sakte hai. Lekin aisa hoga kaise, ye aap soch rahe honge!!!!

Isko kehte hai PERSONALITY DEVELOPMENT......

Personality development ke 4 steps hai------- 

1- Mushkarata hua chehra (Smile)

2- English me baat karna (Speaking english)

3-Baat-cheet ka lehza (Communication skill)

4- Apne aap ko prastut karne ka tareeka (Presentation skill)

To kya hamari personality develop hone ke baad hamari saari tension khatam? Aisa nahi hai lekin iske baad aapke ander wo strength aa jayegi ki aap un pareshaniyo ko mushkarate hue unhe ek opportunity (mauka) me change kar sakte hai.

Iske liye sabse pehle aap subah jaldi uthkar yoga,meditation karna shuru kare. Aisa karne se aapke ander ki aantarik shakti (inner power) badne (grow) lagti hai .Hum apne agle post me Yoga or Meditation ko sahi se vistaar purvak batayenge.

Hme pura vishwas hai ki agar aap hamare blog ke P.D. section se jude rahe to aap 1-2 mahine me apne ander bahut change dekhne waale hai. Aap khud suprize ho jayenge apne ander ke change ko dekhkar.

Dosto hamare blog se judne ka fayda ya hai ki hum aapko badi se badi baat asaan bhasa  (hindi) me samjhate hai, jiska fayda ye hota hai ki aap sahi se samajh paate hai or uske according apne aap ko change kar paate hai.

Dosto agar aap ko personality se related koi question puchna hai to aap comment kar puch sakte hai or intezar kariye agle post ka jisme kuch or bhi surprizing hoga. 

Or last me phir wahi baat khoob khoob paani pijiye or apne aas paas ke area ko saaf suthra rakhiye...............

Related Post

Self confidence badane ke liye yaha click kare 

                                                                       THANK YOU                                

Comments

  1. Aap ki soch jindgi ka ek part h jindgi doosra part bhi hota h ek m garivi h to doosram pasa pasa jarorat s jyada khushi nhi deta jarorat k anushar ho to hi jeevan m khushi deta h.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Self-hypnosis kaise kare

Lakshay(goal) ko set kaise kare.

Time Management -- Part 2