Change your life

Change ur life
Image Source

                                                   

1- Apne aap ko kabhi bhi dusro se compare nahi karna. Kyoki aapko nahi pata ki unki zindagi me kya hona hai.
2. Un cheezo se dur rahe jinhe aap control nahi kar sakte, chahe wo nakratmak vichar ho ya    nakaratmak cheez ya phir nakaratmak log. Iski jagah aap apni energy ko sakaratmak vichar or sakaratmak cheezo me lagaye.
3. Kisi bhi kaam ko karne ki limit banaye. Don't over do.
4. Apni life se kabhi udaas na ho, jo bhi hai, jaisi bhi hai apni life ko perfect maane.
5. Faltu ki gossips ka hissa bankar apni keemti energy ko waste na kare.
6. Jaagte hue jyaada sapne dekhe. "Sapne wo nahi jo aap sote hue dekhte hai, sapne to wo hai jo aapko sone naa de".
7. Kal jo hua use bhul jaye. Apni kal ki mistakes ko aaj yaad karke apni aane wali khusiyo ko barbaad naa kare.
8. "Ek umar bhi kam hai mohabbat ke liye, log kaha se waqt nikalte hai nafrat ke liye". So Please Don't hate others.
9. Apna beeta hua kal itna khubsoorat banaye ki aane wale kal me beete hue kal ko lekar koi paschatap naa ho.
10. Aapki khusiyo ki chabhi kebal or kebal aap ke hi haatho me hi hai.
11. Maano ki aapki zindagi ek school hai or aap yaha seekhne ke liye aaye hai, Pareshaniya aapki daily class ka hissa hai jo algebra class ki tarah aati hai or chali jaati hai lekin aap unse jo seekhte hai wo lifetime kaam aata hai.
12. Hamesha chehre pe ek smile rakho or jyada se jyada haso.
13. Yaad rahe ki duniya me aisa koi kaam nahi jo aap nahi kar sakte.
14. Apne aap me confident rahe ki aap kuch bhi kar sakte hai.
15. Aap is useful information ko apne friends ke sath share zarur karenge agar aap vastav me unki care karte hai.   

 

Zindagi me success kaise ho. janne ke liye click kare.         

Comments

Popular posts from this blog

Self-hypnosis kaise kare

Lakshay(goal) ko set kaise kare.

Time Management -- Part 2