Winners v/s Loosers And Discipline



 
Jeetne wale or haarne wale :-

Dosto aapne apni life me success or unsuccess log dekhe hoge. Nahi dekhe hai!!! ek choti si hint me deta hu- Jiske paas aapse baat karne ke liye time hi time hai wo unsuccess log hai Or success log unke paas to time hi nahi hai aapke liye wo apne kaam me busy hote hai. Aaiye jaante hai unke baare me thoda or----


Jeetne wale hamesha answer ka hissa hote.
Haarne wale hanesha problem ka hissa hote hai.

Jeetne waalo ke paas hamesha ek karyakram hota hai.
Haarne walo ke paas ek bahaana hota hai.

Jeetne wala hamesha kehta hai ki “ye mujhe karne do”.
Haarne wala kehta hai ki “ye mera kaam nahi hai”.

Jeetne wale commitments karte hai apne aap se.
Haarne wale hamesha promises karte hai dusro se.

Jeetne walo ke paas sapne hote hai.
Haarne waalo ke paas yojnaye hoti hai.

Jeetne wale kehte hai ki “mujhe kuch karne chahiye”.
Haarne wale kehte hai ki “kuch hona chahiye”.

Jeetne wale fayda dekhte hai.
Haarne wale dard dekhte hai.

Jeetne wale Possibilities dekhte hai.
Haarne wale problems dekhte hai.

Jeetne wale usko karte hai.
Haarne wale usko hone dete hai.
Note- Jeetne wale plan or prepare karte hai jeetne ke liye. Or jeet ki chabhi hai Taiyari….


 
 Discipline kya hai:-

Discipline matlab maryada. Aap road par jaa rahe ho or red light ho jaaye to aap rukte hai, train ki ticket aap line me lete hai, School aap hamesha uniform me jaate hai or bhi bahut kaam hai jo hum anushasan me karte hai. Discipline apne aap me 100% hai, nahi maante to calculate kar lo alphabet me "D" 4th number par aata hai or "I" 9th humber par. Aise hi saare number likh kar jod lo....

Dosto hamari life me anushasan ka hona bahut jaruri hai. 
·       Discipline ek azaadi hai.
·       Discipline ek aisa commitment hai jo asaani se na badle.
·       Discipline ek disha, nirdeshan hai.
·       Discipline ek bachau hai jisse pehle ki problem aapke saamne aaye.
·       Discipline ek aisa system hai jo aapke ander ek energy deta hai jisse aap accha performance de paaye.
Discipline is not something you do to. But you do for those you care about.

Comments

Popular posts from this blog

Self-hypnosis kaise kare

Lakshay(goal) ko set kaise kare.

Time Management -- Part 2