Time-Management Part-1

Time Management
Image Source

TIME MANAGEMENT:-

Time --> Dosto time wo cheez hai jo apne aap hi khatam ho jaata hai. Time wo cheez hai jise hum udhaar nahi le sakte hai or na hi de sakte hai. Dosto hum isko bank me deposit kar double bhi nahi kar sakte hai. Time ko churaya bhi nahi jaa sakta. Ye apni ek speed ke sath chalta jaata hai.To Dosto time ko hame soch-samajhkar kharch karna chahiye. To aaiye jaante hai ki isko kaise manage kare.

Time Management --> Time management ek aisa word hai jisme aapke Siddhant(principles), aapka abhyaas(practice), aapka hunar(skills) or aapka tareeka sath me kaam kare taki aap time ki importance ko samajh paaye. Jisse ki aap apne lakshya(aim) ko behatar(improve) kar paaye or apne jeene ki kala ko bhi.

Time management Self-management ka hi naam hai -->

* Ye ek anokha saadhan hai.

* Isko hum paiso ke jaise save nahi kar sakte.

* Isko hum raw material ke jaise bhi store nahi kar sakte.

* Hame isko kharch karna hi hai, hum chahe ya fir naa chahe.

* Isko hum machine ke jaise on ya off bhi nahi kar sakte.

* Jaise kisi ki death ke baad wo jinda nahi ho sakta thik waise hi isko bhi hum wapas nahi paa sakte.

* Ye dubara haasil karne ke laayak nahi hai.

* Jo gaya so gaya.

* Or jo gaya wo aapki life ka hi hissa hai.

Self- Management --> Self-management aapki kaabiliyat par depend karta hai ki aap apni life ko kaise Plan karte hai or kaise Pravandh(Organize) karte hai or Nirdeshit(Direct) karte hai.

Hum apna time manage kyo nahi kar paate-->

* Kyoki hamara uddeshya (object) clear nahi hota.

* Kyoki hum avyavasthit (Disorganization) hote hai.

*Hum kabhi kisi ko "na" nahi keh paate.

* Kyoki hamari life me bahut saari vadhaye (interruption) hoti hai. (Mobile, Bank ki line, light ka chala jaana)

* Hum ek samay me jyada kaam karna chahte hai.

* Tanaav (stress) or Thakaan(fatigue).

Vastavikta par ek nazar-->

 Kya aapko pata hai ki --

*Hum apni puri life me se 28 saal sone me guzaar dete hai.

* Or 10 saal padne me.

* 8 saal T.V, Mobile or baat-chit karne me.

* 6 saal beemari or aaram karne me.

* 5 saal travelling me.

* 4 saal khana khane me.

* 3 saal kisi ko complement dene me,wish karne me, thanks karne me.

* Or sirf 6 saal sahi kaam karne me.....

Dosto Part-1 me itna hi agli post me hum jaanege ki Time ko manage kaise kare jisse ki aap apni life ko or sunder bana sake. or agar kuch janna ya puchna ho to aap hame comment kar sakte hai.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Self-hypnosis kaise kare

Lakshay(goal) ko set kaise kare.